Sozak Ki Alamat Aur Ilaj
Is Mein Peshab Ki Naali Mein Zakham Ho Jata Hai. Jis Se Peep Behne Lagti Hai Aksar Zakham Mein Shadeed Dard Aur Jalan Hoti Hai. Marz Ki Shiddat Ke Baais Naali Mein Tangi Paida Ho Kar Marz Mein Mazeed Izafa Ho Jata Hai. Iske Jarsooma ko Gonoria Kehte Hain .
Sozak Ke Wajohat: Sozak Ke Asbab Mein Peshab Ki Naali Mein Ratubat Ka Ikhraj Band Ho Jata Hai. Kasrat Mubashrat, Doran Haiz Mubashrat Ka Fail Saranjam Dena, Garam aur Khushk Ghiza Ka Kasrat Se Istemal. Ya Garam Adviyat Ka Kasrat Se Istemal, Aghlam Bazi, Musht Zani ka Istemal. Zina Kaari is Marz Ka Khaas Sabab Hai. Doran e Hamal Ki Ratubat Maslan Lekoria Waghaira Ke Assar Se Bhi Sozak Ho Jata Hai.
Sozak Ki Alamat: Marz Lagne Ke 3 ya 4 Din Se Le Kar Baz Auqat 8 ya 10 Mein Alamat Ka Izahar Hona Shuru Ho Jata Hai. Keh Mareez Tarap Uthta Hai Peshab Mein Shaded Jalan Aur Sakht Dard Hota Hai. Peshab Ke Surakh Se Surkhi Mail Zard Peep Kharij Hone Lagti Hai. 5 ya 6 Din Mein Marz Mein Shiddat Aa Jati Hai. Jalan Aur Dard Mein Izafa Ho Jata Hai Aur Peep Garhi Hone lagti hai. Baaz Auqat Is Qadar Jalan Hoti Hai Keh Mamooli Kapra Bhi Choo jaye to Mareez Tarap uthta hai. Mareez Paon Phela Kar Chalta Hai Aur Chehra Pareshan Haal Nazar Aata Hai.
Sozak ka Desi Ilaj
Daana Ilaichi , Sat Beroza, Kabab Cheeni. Tabasheer, Kabood Har ek 12 Gram Koza Misri Roghan Sandal, Har ek 40 Gram
Tarkeeb Tayari: Tamam Adviyat ko Bareek Safoof Kar Len. Aur Bad Mein Roghan e Sandal Daal kar Sanbhal kar Rakhen
Tarkeeb Istemal: 2 Gram Subah Sham Doodh Ke Sath Len yeh Sozak ke Liye Bahut Mufeed Nuskha Hai
Sozak ka Nuskha e Khas
Ajza: Sika 1 Tola Qalmi Shohra 2 Tola
Tarkeeb Tayari: Sikka Ko Karahi Mein Daal kar Aag Par Rakhiye. Garam Hone Par Kalmi Shohra Ki Chutki Dete Rahen. Aur Neem Ki Lakri Se Hilatay Rahen jab Shora Khatam Ho Jaye. To Karahi Utar Kar Bareek Pees len Aur Kappar Chaan Kar Ke Sanbhal Len .
Tarkeeb Istemal: Ek Chawal Ke Danay ke Brabar Khurak Len. Aur Doodh Ki Lassi Subah Sham Len , Sozak Naya Ho ya Purana Yeh Nuskha Donon Ke Liye Nihayat Hi Mufeed Hai.