Qabz Ka Desi Hakeemi Ilaj

Qabz Ka Khatma Karen Diye Gaye Nuskha Jaat Se.

Nuskha Ummul Shifa

Gul madar 40g ajwain desi 40g lahori namak, namak siah , namak sanbhar har ke 10g falfal siah 20g leemon ka pani baqadar e zaroorat .

Tarkeeb Tayari:

Tamam adviyat ko bareek pees kar leemon ke pani mein pees kar kalay chanay ke barabar goliyan tayar kar len .

Tarkeeb Istemal:

2 se 3 goliyan din mein 3 martaba hamrah taza pani istemal karen.

Fawaid:

Qabz aur gas ko khatam karta hai maida ko taqat deta hai maida ko kamzori ko door karta hai haiza mein bahut mufeed hai.

Nuskha No: 02
Ek Aur Desi Nuskhe Se Qabz Ka Khatma
Nuskha Ummul Shifa
Namak Andrain 50g sirka angoori 150 ml anar dana baryan, zarshak , kashneez , masfi neem baryan har ke 70g len.
Tarkeeb Tayari:
Namak ko taway par daal kar ooper se sirka daal kar jazab karayen aur phir deegar adviyat kharal kar ke tila kar ke sanbhal kar rakhen.
Tarkeeb Istemal:
Rozana din mein 3 martaba bad ghiza 3,3 gram len taza pani ke sath.
Fawaid:
Qabz o gas ko khatam karta hai maida ko taqat deta hai khoob bhook lagata hai khana hazam khoob karta hai bahut mufeed nuskha hai doston ke sath bhi share karen JazakAllah.

qabz ka khatma

Related Post

Call Now