Naaf Tal Jana
Yeh marz bahut aam paya jata hai bhook band ho jati hai aur baz oqat maroz aur pechash ka aarza shuru ho jata hai khoon aur aaon pakhana mein aanay lagta hai raan aur pindliyon mein aisa maloom hone lagta hai keh goshta nikala ja raha hai kaam kaaj ko dil nahi karta .
Naaf Tal Jana ke Asbab
Apni basat se zyada kaam karna aur zor lagana waghaira iske asbab hain magar mere khayal mein kasrat jamah ki wajah se aarza paida ho jata hai, phatkari sufaid, mazu sabz ya khushk har ek 12 gram donon ko khoob pees kar sirka mila kar garha laip bana len naaf ki jagah par laga kar ooper khadar ka kapra tar kar ke rakh den is se InshAllah naaf apni jagah par aa jati hai.