Jaryan Ka Shartia Ilaj
Moosli Sufaid, Moosli Siah, Saboos Ispeghol , Zanjeel , Gull Mandi Har Ek 20, 20 Gram.
Tarkeeb Tayari:
Tamam Adviyat Ko Bareek Kar Ke Safoof Bana Len Aur Mix Kar Len.
Tarkeeb Istemal:
12 Gram Subah Gaaye Ke Doodh Ke Sath Istemal karen.
Fawaid:
Jaryan Aur Ehtlam Ke Liye Bahut Mufeed Hai.
Nuskha No: 02
Jaryan Ka Shartia Ilaj
Goond Keekar, Goond Kateera , Taalmakhna , Shikakul Misri , Goond Suhanjna, Goond Dhaak, Goond Sunbal, Goond Badam, Todri Sufaid Gokhro Kalan Tukham Kaasni Har Ek 10, 10 Gram Aur Desi Cheeni 50 Gram Len.
Tarkeeb Tayari:
Tamam Adviyat Ko Nihayat Bareek Kar Ke Safoof Bana Len Aur Sanbhal kar Rakhen.
Tarkeeb Istemal:
12 Gram Subah aur Sham Hamrah Gaaye Ka Doodh Khaya Karen.
Fawaid:
Jaryan Ehtlam Aur Raqt e Mani Ke Liye Nihayat HI Mufeed Hai , Jaryan Ehtlam Aur Raqt e Mani Ke Liye Nihayat Hi Mufeed Hai.
Nuskha No: 03
Jaryan o Ehtlam ka Shartia Ilaj
Sang e Jurahat 60 Gram Phal Makhana, Moosli Sufaid, Sat Salajeet Har Ek 20 Gram Qund Sufaid 60 Gram.
Tarkeeb Tayari:
Tamam Adviyat ko Bareek Kar Ke Powder Bana Len aur Sanbhal kar Rakh len.
Tarkeeb Istemal:
3 Masha Subah, 3 Masha Sham Lassi Ke Sath Len.
Fawaid:
Jaryan o Ehtlam Aur Taqviyat Aza Raeesa Ke Liye Kamyab Dawa Hai.