High Blood Pressure Se Nijat
Lehsan ka ras 6 qatray pani mein mila kar peena acha ilaj hai.
Khana khane ke bad lehsan khane se khoon ka dabao kam ho jata hai.
Lauki ka ras adha cup thore se pani mein mila kar rozana 3 baar peena chahiye.
Kailay ke tanay ka ras har roz adha cup peena mufeed hai.
Hafte mein ek din faaqa karen sirf phalon aur sabziyon ka ras lete rahen.
High blood pressure se nijat ke liye 7 adad khushk aalu bukharay raat ko ek glass pani mein bhigo den , subah unhi aalu bukharon ko masal kar chaan kar nihar munh pee len kuch arsa mustaqil mizaji se istemal karen high blood pressure theek ho jaye ga.