Wazan Kam Karne Ke Asan Gur
Khana khoob chaba kar khayen.
Chai, coffee ya doodh mein cheeni kam istemal karen.
Zyada raishay wali ghizayen istemal karen.
Baqaidgi se warzish karen aur masroof rahen .
Mashrubat ko ghoont ghoont kar piyen bajaye iske keh ghata ghat halq mein undail den .
Har baar khane se pehle pani zaroor piyen aur khane ke bad koshish karen keh pani bilkul na piyen.
Khane ke sath salad lazmi rakhen aur khana khanay se pehle salad khatam kar len.
Ghussa se perhaiz karen , zyada ghussa karna motapa ka mojib hai.
Ahista ahista wazan kam karne behtar hai bajaye iske keh yaksar wazan kam kiya jaye.
Apna wazan har hafte check karen aur chart par note karte jayen.
Qabz se bachen chaan mila aata istemal karen na sirf hazma darust rahe ga balke sugar ka level bhi khushk rahe ga chaan zaid chiknai ko jazab karta hai.