Musht Zani Yani Hath Ke Istemal Ke Jismani Nuqsanat
Is fail ka jismani nuqsanat ke baray mein sab se bara nuqsan jinsi ghadood ko mutaharik karne ka sabab ban jata hai jiske nateeje mein jinsi ghadood zyada kaam karne lag jata hai aur yeh uski na munasib faliyat ka sabab ban jata hai iske asraat min jumla, ghadoodoza mein waram, nutfa ki naali mein waram, peshab ki naali mein waram, aala tanasul ka falij hona
beikhtiyar mani ka nikal jana , hambistari ki bimariyan aur banjh pan hona waghaira shamil hain sab se bara nuqsan azu khas ka patla aur chota hona hai.
Iske Ilawa:
1- Beenai ki kamzori
2- Pichke gaal zard chehra
3- Pathon ki kamzori
4- Badan ka dubla aur patla hona
5- Sardard aur chakkar aana
6- Baar baar zukam mein mubtala hona
7- Khoon ki kami
8- Zaano ka sust hona
9- Ankhon ke gird siyahi paida hona
10- Chehre ka zard hona
11- Shanwai mein kamzori aur ikhtalal ka paida hona
12- Chehre par danay nikalna
13- Neend mein ikhtalal paida hona
14- Is fail ki shiddat ki soorat mein aziyat o azaar pahunchna halaq aur nuqsan ke shumar kiye gaye hain .
Nafsiyati Nuqsanat
1- Hafza ki kamzori , hawas bakhta hona aur tamarkaz fikri ki natawani se dochar hona
2- Iztarab, khof aur pareshani un khasoosiyat mein se hain jo musht zani karne wale ko nahi chorti hain wo hamesha waswas aur tazbazab ki haalat mein rehta hai.
3- Dilshigastgi: dilshigastgi ke numayan alaim mein se be ehsaasi be tafawati, bad zoqi, susti, gosha nasheeni, gham o andoh , hunar, warzish aur manwi amoor se adam dilchaspi hai.
4- Jhagra karna aur badikhlaqi : Musht zani karne wale mahol ki mamooli tehreek ke muqabla mein hasaas hota hai, doosron se guftagu karna ka hosla nahi rakhta , jaldi ranjeeda ho jata hai, foran aapay se bahar hota hai aur roshani, awaz aur raft o aamad mein muqabla mein ghair mamooli hasasiyat dikhata hai.
5- Zindagi se na umeed hona
6- Quwat takhleeq ki naboodi, istadadon aur tawanaiyon ko hath se dena .
7- Taleem , mutala ilmi tehqiqaat aur fikri sargarmiyon ki raghbat ko kho dena.
8- Hawas rani aur berahravi ka shikar hona aur najaiz jinsi taluqat ka aadi hona.
9- Jazbaat ka fuqdan aur sharmeela ho jana
10- Khudaitmadi ka fuqdan aur ehsaas e kamtari , aur quwat e faisla ko kho dena.
11- Dil ki safai ko kho dena aur manvi amoor , dua ki majalis aur jamat mein shirkat karne mein adam dilchaspui waghaira dikhana .
12- Ehsaas e gunah, Zameer ki malamat.
Ijtimai Nuqsanat
Mushta zani insan mein ijtimah se door ikhtiyar karne ki hiss ejad karti hai aur takrar aur afrat ke nateeje mein apni jarren mazboot karti hai, Aisa insan gosha nasheeni ikhtiyar karne ke nateeja mein zawal se dochar ho jata hai
aur khayalat ki duniya mein gharq hota hai , zaati lazaton ki taraf tawaja karna, ijtimai rawabit mein susti ejad hone ka sabab ban jata hai aur aisa insan ijtimai zindagi ko khatra mein dalta hai.
In ( jismani , nafsiyati, aur ijtimai) nuqsanat ke baray mein bhi zikar karna bhi zaroori hai keh aloom tajarbi aur insan ke ilm o danish , mein tamam taraqiyon ke bawajood insan is qadar taraqi na kar saka hai keh is qism ke amoor ke baray mein tamam masaaleh o mafasid fawaid aur nuqsanat se agahi hasil kar sakay aur jo kuch is silsila mein baaz otaba ne bayan kiya hai.
Wo haqeeqat mein ehtamali aasar hain keh shayad kaha jaye keh is buray amal ki shadeed aadat ki soorat mein roonuma hote hain aur halq ke baray mein bhi in aasar ko aur adwaj ke baray mein bayan na karne ki daleel yeh lagta hai keh halq ek ghair fitri amal hai aur yeh sabab ban jata hai keh insan apne nafs par control ko kho de aur shadeed soorat mein is fail ka aadi ban jaye lekin azdwaj ek fitri amal hai aur yeh amal insan ko taadul bakhshta hai aur iske nateeja mein iski taqat barh jati hai aur wo apne nafs par zyada control kar sakta hai.
ہمارا تیار دیسی نسخہ اور تفصیلات