Ishal Yani Daston Ka Desi Ilaj

Ishal ka Ilaj Yani Daston Ka Desi Nuskha

Nuskha Ummul Shifa

Agar kisi waja se ghiza anton mein na rukay aur jald kharij ho jaye to isay ishal kehte hain amooman dast kisi ghiza ko na hazam hone ki waja se aatay hain .

Ishal Yani Daston ke Asbab

Saqeel o badi , kasrat misala jaat, anton ki auram ya kharash dar cheezon ka istemal , jigar ki kamzori, anton ki kamzori , ya kabhi kheeray ya kharboozay ke sath lasi ka istemal waghaira.

Ishal ka Ilaj Yani Daston Ka Desi Nuskha

Jadwar khatai 30g , Rab ul soos 30g, samgh arbi 30g, dana ilachi 30g, tabasher 12g, jandbeer sattar 2g.

Tarkeeb Tayari:

Tamam adviyat ko bareek pees len aur arq e sonf se nakhoodi goliyan bana len.

Tarkeeb Istemal:

1, 1 Goli din mein 3 baar pani ke sath len.

Fawaid:

Ishal ko khatam kar ke aza ko taqat war banati hai quwat e maska paida karti hai neez nazla ko bhi khatam karti hai.

Perhaiz:

Sirf or sirf naram ghiza ka istemal karen iske ilawa ko sakht ghiza istemal na karen.

ishal ka ilaj

Related Post

Call Now