Badhazmi Ka Desi Ilaj

Badhazmi Ka Ilaj

Nuskha Ummul Shifa

Is marz mein maiday ke fail hazam mein farq waqay ho jata hai magar banawat mein kisi qisam ki kharabi waqay nahi hoti.

Badhazmi Paida Hone Ke Asbab:

Khanay peene mein laparwahi ghiza achi tarah na chabana arsa tak ek hi qism ki ghiza ka istemal kasrat misala jaat ka istemal jigar aanton ya lablaba ki ratubaat ki kharabi qabz naqis ghiza ka istemal safra waghaira ki zyadti ranj o gham kharabi khoon aalaat hazam ki quwaton ki kamzori asbi kharabi ya uzlaati kharabi ya sozish ke baais aarza lahaq ho jata hai waghaira waghaira.

Badhazmi Ki Alamaat:

Maiday ki hazam mein farq aa jata hai dard e girani , bechaini , tursh dikaaren kabhi dast kabhi qabz badbu daar dikaar hatheliyan jalna talway jalna waghaira alamaat paida hoti hain purani badhazmi mein maqam maida par halka halka dard shuru ho jata hai dam kashi, khatay dikar aatay hain peshab mein maaday beth jatay hain susti kahili palay par jati hai shadeed kamzori aana shuru ho jati hai, bechaini ghabrahat hathon aur paon mein khujli shuru ho jati hai.

Badhazmi ka ilaj ( Desi Nuskha)
Kasni , afasteen, papra , gul surkh, tukham kharbooza, 50,50 gram tarphala 100 gram charaita, zarshak har ek 40 gram gul gaozuban 30 gram misri 1 kilo.
Tarkeeb Tayari:
Tamam adviyat ko 4 kilo pani mein bhiga den subah khoob boil karen adha rehne par kooza misri 1 kilo mila kar sharbat ka qawam bana len aur mehfooz rakhen.
Tarkeeb Istemal:
Rozana din mein 3 martaba ek ek tola hamrah paani len.
Fawaid:
Badhazmi, zaaf maida, qabz o gas mein mufeed hai yarqan ka khatma karta hai aur jigar ko faaal karta hai.i.

badhazmi ka ilaj

Related Post

Call Now