Bawaseer Ka Desi Nuskha
Maqad ke maqam par kharish aur masay ho jatay hain , halka dard aur khaarish hoti hai, magar khoon kharij nahi hota isay baadi bawaseer kehte hain.
Baadi Bawaseer Ke Asbab:
Sard maqam par zyada rehna aksar aur zyada beth kar kaam karna , sard ashiya ka zyada istemal, qabz aur gas ka paida ho jana , saqeel aur dair hazam ghizaon ka istemal, waqt bewaqt khana , neez kasrat jamah , kharish maqad jinsi khayalat mein aksar gum rehna khati ashiya ka zyada istemal waghaira asbab mein shamil hai.
Baadi Bawaseer ki Alamat:
Maqad ke maqam par kharish aur dard mehsoos hota hai , mardana quwat qadray kamzor ho jati hai, kabhi kabhi jalan bhi mehsoos hoti hai , Neend ka aksar ghalba rehta hai , Badan sust ho jata hai so kar uthna par badan bhari lagta hai.
Chehre ka rang zardi maail mareez ki bhook kam ho jati hai, baz oqat be khawabi dard e sar ya kamptiyon mein bojh mehsoos hota hai kabhi dard ya matli koolanj ka ehsaas bhi hota hai .
Nuskha No: 02
Bawaseer Ka Desi Nuskha
Tarphala , google haldi aur mom sufaid tamam brabar wazan.
Tarkeeb Tayari:
Tamam adviyat ko khoob achi tarah powder bana kar mom ko pighla kar yak jaan kar len aur kalay chanay ke barbar goliyan bana len .
Tarkeeb Istemal:
2 Goli subah dopehar sham hamrah desi ghee mila kar doodh ke sath len.
Fawaid:
Khooni aur baadi bawaseer ka hamesha ke liye khatma kar deti hai sirf chand dinon mein hi mareez ko aram aa jaye ga.
Perhaiz:
Dair hazam saqeel aur garam ashiya se perhaiz wajib hai daal moong na khayen.